Ay dilbaraane Jaffar e Tayyar – Alwida, Alwida
Binte Ali ye bachon ye bachon se kehti thi baar baar
Ran ko sidharo aun-o-muhammad ye maa nisar
Jafar ka ifthikaar barhanaa jihad mei -
Nana ko apni shaan dikhana jihad mei
Bacho zaeef mamu ko zehmat na dijiyo
Laashe uthaaye bhai to jumbish na kijiyo
Shair-e-Khuda Ki Beti Kay Tum Dono Shair Ho
Maidan May Jawo Khud Fatha Ab Kuch Na Dair Ho
Haar Baat Apne Dil Kay Siwa Ho To Baat Hai
Woh Ran Paray Kay Hashr Bapa Ho To Baat Hai.
Ghayre Rahay Sipah Magar Mou Na Moor Na
Haider Ki Yaadgar Ho Maidan Na Chorna.
Shimro Umar Kay Saar Jo Utaro To Khush Hu May
Dushman Ko Jhoom Jhoom Kay Maaro To Khush Hu Mai.
Ab Toh Ye Arzoo Hai Kay Tum Ran May Kaam Aawo
Chehray Kay Badle Khoon Bhare Chehre Mujhe Dikhao.
Pyaase Jo Aaoge To Sila Degi Tum Ko Maa
Khud Daud Kar Gallay Say Laga Legi Maa.
Ay dilbaraane Jaffar e Tayyar – Alwida, Alwida
Farewell of the grandchildren of Jaffar ibn Abu Talib
Binte Ali ye bachon ye bachon se kehti thi baar baar
Ran ko sidharo aun-o-muhammad ye maa nisar
Bibi Zainab kept telling this to her children
Go forth into the battlefield and make this mother proud
Jafar ka ifthikaar barhanaa jihad mei
Nana ko apni shaan dikhana jihad mei
Honor the name of your grandfather Jaffar in the battlefield
Make your grandfather (Rasoolallah) proud in the battlefield
Bacho zaeef mamu ko zehmat na dijiyo
Laashe uthaaye bhai to jumbish na kijiyo
Children do not trouble your old uncle (Hussain as)
When he comes to collect your corpses
Shair-e-Khuda Ki Beti Kay Tum Dono Shair Ho
Maidan May Jawo Khud Fatha Ab Kuch Na Dair Ho
You are the two lions of the daughter of the lion of Allah
Hurry into the battlefield to conquer your victory
Haar Baat Apne Dil Kay Siwa Ho To Baat Hai
Woh Ran Paray Kay Hashr Bapa Ho To Baat Hai.
(to translate this verse, click here)
Ghayre Rahay Sipah Magar Mou Na Moor Na
Haider Ki Yaadgar Ho Maidan Na Chorna.
(to translate this verse, click here)
Shimro Umar Kay Saar Jo Utaro To Khush Hu May
Dushman Ko Jhoom Jhoom Kay Maaro To Khush Hu Mai.
(to translate this verse, click here)
Ab Toh Ye Arzoo Hai Kay Tum Ran May Kaam Aawo
Chehray Kay Badle Khoon Bhare Chehre Mujhe Dikhao.
(to translate this verse, click here)
Pyaase Jo Aaoge To Sila Degi Tum Ko Maa
Khud Daud Kar Gallay Say Laga Legi Maa
(to translate this verse, click here)
Submit lyrics, translations, corrections, or audio for this Nawha.