Ay momino jab khun me duba huwa aaya – Asgher ka janaza
Shabbir ne roroke kaleje se lagaya, Asgher ka janaza
Beshir ki mayyit pe jo Zainab ne nazar ki, roroke ye boli
Ay bibiyo lo khun me duba huwa aaya, Asgher ka janaza
Ye sunke huwa roneka gul ahle haram me, masoom ke gham me
Yun roke har ek bibi ne aankhon se lagaya, Ashgar ka janaza
Khodi shahe mazloom ne ek nani si turbat, basad ghamo hazrat
Kurte ka kafan de ke sare khaak litaya, Asgher ka janaza
Khaime ki taraf rote huwe aye shaahe deen sharminda wa ghamgheen
Kis yas se muh fer ke Banu ko dikhaya. Asghar ka janaza
Dekhi na gayi bewon ki jab girya wa zari rikkat huwi tari
Maidan mei farzande Ali kahime se laya, asghar ka janaza
Tha dhyan ke jangalki kadi dhup nak haye iza na uhtaye
Is waste Shabbir ne mitti me milaya, Asghar ka janaza
Maqtal mei koi sahib e aulad jo hota, munh ashko se dhota
Panik e ewaz ashke shahe deen mei nahaya, Asghar ka janaza
Kumlaa-e huwe fulsi mayyat ko nikala, aur khaak pe dala
Sar kaatne ki izzase kisi ne bachaya, Asghar ka janaza
Lut kar jo haram aaye suwe ganje shaheedan, ba hale pareshan
Mitti pe pada Banu e Nashaad ne paya, Asghar ka janaza
Hai hai mere bache kahan aur gir pari madar, laashe ke barabar
Chati se lagane ko zamin parse uthaya, Asghar ka janaza
Lipta-e huwe chati se thi usko who dukhya, hai hai me kahu kya
Kis zulm se aada ne ziya usko chuddaya, Asghar ka janaza
Ay momino jab khun me duba huwa aaya – Asgher ka janaza
Shabbir ne roroke kaleje se lagaya, Asgher ka janaza
O Believers! When the blood soaked body of Asgher was brought
Imam Hussain cried as he hugged it to his chest – the little body of Asgher
Beshir ki mayyit pe jo Zainab ne nazar ki, roroke ye boli
Ay bibiyo lo khun me duba huwa aaya, Asgher ka janaza
When Zainab laid eyes on the body of the infant, she wept and cried out
O ladies – look the blood soaked body of Asgher is coming – the little body of Asgher
Ye sunke huwa roneka gul ahle haram me, masoom ke gham me
Yun roke har ek bibi ne aankhon se lagaya, Ashgar ka janaza
Hearing the news of the infants murder wailing was heard from the tents
Each lady held him and kissed him – the little body of Asgher
Khodi shahe mazloom ne ek nani si turbat, basad ghamo hazrat
Kurte ka kafan de ke sare khaak litaya, Asgher ka janaza
The heartbroken Imam then dug a tiny little grave
He used the baby’s shirt as a kafan and lay him to rest – the little body of Asgher
Khaime ki taraf rote huwe aye Shahe deen sharminda wa ghamgheen
Kis yas se muh fer ke Banu ko dikhaya. Asghar ka janaza
Imam came towards the tents, heartbroken and unable to tell the womenfolk
How did he tell the mother of what happened - the little body of Asgher
Dekhi na gayi bewon ki jab girya wa zari rikkat huwi tari
Maidan mei farzande Ali kahime se laya, asghar ka janaza
The lamentation of the widows and women had reached a maximum
When Imam Hussain brought a little corpse back from the battlefield - the little body of Asgher
Tha dhyan ke jangalki kadi dhup nak haye iza na uhtaye
Is waste Shabbir ne mitti me milaya, Asghar ka janaza
(To assist with translating this verse, click here)
Maqtal mei koi sahib e aulad jo hota, munh ashko se dhota
Panik e ewaz ashke shahe deen mei nahaya, Asghar ka janaza
(To assist with translating this verse, click here)
Kumlaa-e huwe fulsi mayyat ko nikala, aur khaak pe dala
Sar kaatne ki izzase kisi ne bachaya, Asghar ka janaza
(To assist with translating this verse, click here)
Lut kar jo haram aaye suwe ganje shaheedan, ba hale pareshan
Mitti pe pada Banu e Nashaad ne paya, Asghar ka janaza
(To assist with translating this verse, click here)
Hai hai mere bache kahan aur gir pari madar, laashe ke barabar
Chati se lagane ko zamin parse uthaya, Asghar ka janaza
(To assist with translating this verse, click here)
Lipta-e huwe chati se thi usko who dukhya, hai hai me kahu kya
Kis zulm se aada ne ziya usko chuddaya, Asghar ka janaza
(To assist with translating this verse, click here)
Submit lyrics, translations, corrections, or audio for this Nawha.