Bibiyon mara gaya nawjawaan Akber mera
Dil sahebe aulad se Insaaf talab hay
Dunya mei pisar baapki zinat ka sabab hay
Awlaad ka hona bhi badi bakhsishe rab hay
Sach hay ye magar dagh bhi bete ka ghazab hay
Hangama Qayamat ka bapa karti hay taqdeer
Shabbir se Akbar ko juda karti hay taqdeer
Bibiyon mara gaya nawjawaan Akber mera
Dushmanko bhi khuda na dikhaye pisar ka daagh
Dil ko figar karta hai lakhte jigar ka daagh
Aankhon ka noor khota hay noore nazar ka daagh
Marna jawan bete ke hay umr bhar ka daagh
Ye haal ibne Fatima ke dil se poochiye
Zakhme jigar ke dard ko ghayal se poochiye
Bibiyon mara gaya nawjawaan Akber mera
Jab barchi khaake chur huwa Akbar sa nawnehal
Farzand e Fatema ka kahun kis zuban se hal
Larza tha jisme pak mei khurshid ke missal
Chillaate the shaheed huwa haye mere laal
Thaame huwe kaleje ko ghabraate firte the
Ek ek qadam pe thokare kha kha ke girte the
Bibiyon mara gaya nawjawaan Akber mera
Har dam ko pukarte the Akbar kidhar gaye
Ay noore chashme Banu e be par kidhar gaye
Marta hay baap ay mere dilbar kidhar gaye
Awaaz do shabih e payambar kidhar gaye
Ay mere sher kya kisi jangal mei chup gaye
Ay mere chand kaun se baadal mei chup gaye
Bibiyon mara gaya nawjawaan Akber mera
Jangal se ayi inte me Akbar ki ye sada
Mein ja aba lab hun aaiye ya shaahe karbala
Hay ankareeb kuch suwe gulshane bakaa
Hasrat hay ye ke dekhloon deedar aap ka
Aaluda khun bhara huwa chehra hay gard se
Bismil se laut-ta hun kaleje ke dard se
Bibiyon mara gaya nawjawaan Akber mera
Khaime me la ke shehne pisar ki litayi laash
Gul pad gaya hay Akbare gazi ki aayi laash
Us nawjawaan pisar ki jo Layla ne paayi laash
Feila ke hath chati se jaldi ladai laash
Kehti thi maa nisar ho aankhe to wa karo
In khun bhari zulfon pe mujhko fida kar
Bibiyon mara gaya nawjawaan Akber mera
Hay hay na tera byah Rachana huwa naseeb
Hay hay Dulhan na byah ke lana huwa naseeb
Pote ko godh mei na khilana huwa naseeb
Shadi ke badle khaak udana huwa naseeb
Hans hans ke ab yeh maa kise dulha bnayegi
Wari jawab de ke Dulhan kis ki aayegi
Bibiyon mara gaya nawjawaan Akber mera
(to assist translate this nawha, click here)
Submit lyrics, translations, corrections, or audio for this Nawha.