Binte nabi jahan se gayi wa musibata
Hasnain ka sar aaj khula wa musibata
Rote hai Payambar bhi aaj kabre me hay haay
Jibril ka bhi sar hai khula wa musibata
Zainab khari hay laash pe karti he who bukaa
Amma jahan se aaj gayi wa musibata
Haidar ka kya me haal kahun who bhi rote hai
Har dam pukaarte hai who wa musibata
Maryam o Hawwa aaj hay firdos me bechain
Huron me bhi hay gul huwa wa musibata
Har dam royi baap ko mahzun wa ghamgheen
Aage bayan mei kya karun wa musibata
Bas rok kalam tu ab ay Fateh Ali
Ro ro ke tu bhi kar buka wa musibata
Submit lyrics, translations, corrections, or audio for this Nawha.