Lo Karbala Me Aaya Mehmaan Karbala Ka

General
Share

Lo Karbala mei aaya, Mehmaan karbala ka
Kumbe ko saath laaya, mehmaan karbala ka

Khatam hai be nagina, Wiraan hai madina
Hay Fatema ka jaya, Mehmaan karbala ka

Kyun lashkare zalalat, Dawat me ye adawaat
Shehre Khuda ka jaya, Mehmaan karbala ka

Suraj se zara kehdo parde me chala jaaye
Zainab ki asiri ka, afsana kaha jaaye

Dariya ka kanara ho, Kabze mei tere aalam
Aur sibte payambar ko, Pani na diya jaaye

Besheer raha tishna, darya ke kanare pe
Ye zulm tera zalim, kis kis se kaha jaaye

Allah re qayamat hai, Karbobala ke ran mei
Qasim jawan ka laasha, pamaal kiya jaaye

Socha ye sitamgar ne, Shabbir ko tadpa kar
Turbat me Muhammad ko, be chain kiya jaaye

Lo Karbala mei aaya, Mehmaan karbala ka

Kumbe ko saath laaya, mehmaan karbala ka

Lo! The guests who came to Karbala

They brought their families – the guests who came to Karbala

 

Khatam hai be nagina, Wiraan hai madina

Hay Fatema ka jaya, Mehmaan karbala ka

The precious family has been ended, Medina is ransacked

The children of Fatima are the guests who came to Karbala

 

Kyun lashkare zalalat, Dawat me ye adawaat

Shehre Khuda ka jaya, Mehmaan karbala ka

The army of oppression, invited them with enmity 

Imam Ali’s children are the guests who came to Karbala

 

Suraj se zara kehdo parde me chala jaaye

Zainab ki asiri ka, afsana kaha jaaye

Tell the sun to hide behind the clouds

Not to witness the tragedy of Zainab

 

Dariya ka kanara ho, Kabze mei tere aalam

Aur sibte payambar ko, Pani na diya jaaye

On the banks of the Euphrates the terror that ensued

The children of the Prophet were deprived of water

 

Besheer raha tishna, darya ke kanare pe

Ye zulm tera zalim, kis kis se kaha jaaye

The tragedy of the infant baby in the battlefield 

This terror of the enemies, who can it be told to

 

Allah re qayamat hai, Karbobala ke ran mei

Qasim jawan ka laasha, pamaal kiya jaaye

O Allah! This tragedy in the battlefield of Karbala

Qasim’s body is getting trampled

 

Socha ye sitamgar ne, Shabbir ko tadpa kar

Turbat me Muhammad ko, be chain kiya jaaye

The enemies tortured Imam Hussain

Intending to hurt the Prophet in his grave

Can you improve this?

Submit lyrics, translations, corrections, or audio for this Nawha.

All rights reserved by FFFoundation® 2025
Contact Us