Nawha ye abid ka tha haye sakina
Daagh ye kaisa diya, haye sakina - waweila - haye Sakina
Dunya me yatimon ko rulaya nahi karte
Sehme huwe bachon ko daraya nahi karte - waweila - haye Sakina
Lashe se jo lipte to nahi padte tamache
Yun baap se beti ko chudaya nahi karte - waweila - haye Sakina
Balwe me phirate nahi bewon ko khule sar
Hans hans ke gharibon ko rulaya nahi karte - waweila - haye Sakina
Sine pe sada baap ke soti ho jo beti
Reti pe tamachon se litaya nahi karte - waweila - haye Sakina
Mehmanon ko dete hai sada rahato aaram
Pani ke ewaz khun bahaya nahi karte - waweila - haye Sakina
Nawha ye abid ka tha haye sakina
Daagh ye kaisa diya, haye sakina - waweila - haye Sakina
O Sakina! Was the lamentation Of Imam Sajjad
What pain your passing brought me – O Sakina!
Dunya me yatimon ko rulaya nahi karte
Sehme huwe bachon ko daraya nahi karte - waweila - haye Sakina
Orphans should not be made to cry in this way
Captive children should not be frightened – O Sakina!
Lashe se jo lipte to nahi padte tamache
Yun baap se beti ko chudaya nahi karte - waweila - haye Sakina
When saying farewell to a corpse, one shouldn’t be slapped
A daughter should not be separated from her fathers corpse – O Sakina!
Balwe me phirate nahi bewon ko khule sar
Hans hans ke gharibon ko rulaya nahi karte - waweila - haye Sakina
Widows should not be paraded in the steets to the public
The less fortunate should not be made to cry by mocking them – O Sakina!
Sine pe sada baap ke soti ho jo beti
Reti pe tamachon se litaya nahi karte
A daughter will fall asleep on her fathers chest listening to his voice
Little girls are not put to sleep by slapping them – O Sakina!
Mehmanon ko dete hai sada rahato aaram
Pani ke ewaz khun bahaya nahi karte - waweila - haye Sakina
Guests are taken care of and provided for with every comfort
Their thirst is not quenched by spilling their own blood – O Sakina!
Submit lyrics, translations, corrections, or audio for this Nawha.