Shaahe Mazloom Jab Aaye Shabe Ashur Hai Logo (Yehi Ek Raat Hai Baki)

General
Share
Abbas Bandali
Maalim Hussein Bandali
Riyaz Jivraj
Mustafa Shivji

Shaahe Mazloom Jab Aaye Shabe Ashur Hai Logo
Kaha Sar ko Kataane Ki, Yehi Ek Raat hai baaki

Sakina yun lagi kehne, Ke ay baba kahan mujhko
Tumhe kya sar kataane ki, Yehi Ek Raat hai baaki

To ab mujhko huwa maalum, ke be waliyon waris ki
Ridaa-o ke chinaane ki, Yehi Ek Raat hai baaki

Tumhare lashe be sar par, Mei ro ro sar patakne ki
Tamache muhn pe khaane ki, Yehi Ek Raat hai baaki

Mere bimaar bhayi ko, Mere nachar bhayi ko
Kadi Bedi pehnane ki, Yehi Ek Raat hai baaki

Aliyo Fatema ki, Betiyon ki nange sar hay hay
Umar qaidi bana ne ki, Yehi Ek Raat hai baaki

Mere shahzade Qasim ki, Dulhan Kubra bahan meri
Usse bewa banana ki, Yehi Ek Raat hai baaki

Mere pyaare mere pyaase, mere bhayya ali Asghar
Gala nazuk kataane ki, Yehi Ek Raat hai baaki

Mere pyase chacha Abbas, ko nehre furat ke uppar
Dono bazu katane ki, Yehi Ek Raat hai baaki

Mera kadiyal jawan jis ki, hay shadi ki mujhe Hasrat
Ani barchi ki khane ki, Yehi Ek Raat hai baaki

Hamare khaime jalane ki, hame dar dar firane ki
Hamare ghar lutane ki, Yehi Ek Raat hai baaki

Shaahe Mazloom Jab Aaye Shabe Ashur Hai Logo

Kaha Sar ko Kataane Ki, Yehi Ek Raat hai baaki

On the Eve of Ashura, Imam Hussain told his companions

Tomorrow we will be martyred, this is our last night

 

Sakina yun lagi kehne, Ke ay baba kahan mujhko

Tumhe kya sar kataane ki, Yehi Ek Raat hai baaki

Sakina came to her father and asked him. 

Oh father will you really be killed tomorrow? Is this our last night?

 

To ab mujhko huwa maalum, ke be waliyon waris ki

Ridaa-o ke chinaane ki, Yehi Ek Raat hai baaki

I realized what happens to those who lose their male protectors

Our veils will be looted, this is our last night

 

Tumhare lashe be sar par, Mei ro ro sar patakne ki

Tamache muhn pe khaane ki, Yehi Ek Raat hai baaki

Upon your beheaded corpse, I will beat my head and weep

I will be slapped for this, this is our last night

 

Mere bimaar bhayi ko, Mere nachar bhayi ko

Kadi Bedi pehnane ki, Yehi Ek Raat hai baaki

My sick and weakened brother will be out in shackles and chains

This is our last night

 

Aliyo Fatema ki, Betiyon ki nange sar hay hay

Umar qaidi bana ne ki, Yehi Ek Raat hai baaki

The daughters of Ali and Fatima will have their veils snatched

They will be made prisoners, this is our last night

 

Mere shahzade Qasim ki, Dulhan Kubra bahan meri

Usse bewa banana ki, Yehi Ek Raat hai baaki

My prince Qasim’s new bride Kubra – my sister.

She will become a widow – this is our last night

 

Mere pyaare mere pyaase, mere bhayya ali Asghar

Gala nazuk kataane ki, Yehi Ek Raat hai baaki

My loving, thirsty brother Ali Asghar, your fragile neck will be cut – this is our last night 

 

Mere pyase chacha Abbas, ko nehre furat ke uppar

Dono bazu katane ki, Yehi Ek Raat hai baaki

On the riverbanks my loving uncle Abbas

Will have both his arms severed – this is our last night

 

Mera kadiyal jawan jis ki, hay shadi ki mujhe Hasrat

Ani barchi ki khane ki, Yehi Ek Raat hai baaki

My youthful Akbar, who’s wedding is my dream

He will take a spear in his chest – this is our last night

 

Hamare khaime jalane ki, hame dar dar firane ki

Hamare ghar lutane ki, Yehi Ek Raat hai baaki

Our tetns will be burnt and we will be paraded from city to city

Our house will be plundered – this is our last night

Can you improve this?

Submit lyrics, translations, corrections, or audio for this Nawha.

All rights reserved by FFFoundation® 2025
Contact Us