Shaam Waalon Betiyaan Hai Ye Nabi Ki Na Satawo

Non Saff Calssic Marsia / Nawha
Share
Shabbir Janmohamed

Shaam walon betiyan hai, yeh nabi ki na satawo
Har Gali shahzaadiyon ko, ay sitamgar na phiraawo

Kul Kafa ke hal ata ke, hai ye waris innama ke
Sar barehna hai na dekho, apni nazron ko jhukaawo

Chalte chalte dhal chuki hai, raat ghaliyon mein hamari
Thak gaye hain qaidi bache, be ghunaho ko bithaawo

Tum ko ham denge duaein, de do kuch der ridaaen
Gar nahi dete ridaein, toh charaaghon ko bhujaawo

Dekh lo aal e Nabi hain, Ham hi alwaad e Ali hain
Hum ne kya jurm kiya hai, hum ko itna to bataawo

Shaam bazaar mein shamsheer, roke kehte the ye Abid
Aale Ahmed ke muslamaan-no na tawqeer bhulaao

Bhiir ki yeh nahi aadi, yeh to Ismat ki pali hay
Dar ba dar inko rulaa kar, mujh ko naa khun rulaawo

Shaam walon betiyan hai, yeh nabi ki na satawo

Har Gali shahzaadiyon ko, ay sitamgar na phiraawo

O people of Shaam, these are the daughters of the Holy Prophet – do not harass them

O enemies, do not parade them in the streets

 

Kul Kafa ke hal ata ke, hai ye waris innama ke

Sar barehna hai na dekho, apni nazron ko jhukaawo

They are the pure ones talked about in the Quran, the inheritors of this religion

Look away at once, for they are not in their hijab – lower your gazes!

 

Chalte chalte dhal chuki hai, raat ghaliyon mein hamari

Thak gaye hain qaidi bache, be ghunaho ko bithaawo

Our days are spent being marched through the narrow streets

The innocent, captive children are tired, let them sit and rest

 

Tum ko ham denge duaein, de do kuch der ridaaen

Gar nahi dete ridaein, toh charaaghon ko bhujaawo

We will pray for you if you gave us back our hijabs just for little while

If you are not going to give them back, at least extinguish the lanterns (so we cant be seen)

 

Dekh lo aal e Nabi hain, Ham hi alwaad e Ali hain

Hum ne kya jurm kiya hai, hum ko itna to bataawo

Look we are the family of the Holy Prophet the children of Ali

What crime have we committed, at the very least tell us

 

Shaam bazaar mein shamsheer, roke kehte the ye Abid

Aale Ahmed ke muslamaan-no na tawqeer bhulaao

The Bazaar of Shaam felt like the edge of a sword, cried out Imam Sajjad

Oh muslims do not forget the progeny and family of Muhammad

 

Bhiir ki yeh nahi aadi, yeh to Ismat ki pali hay

Dar ba dar inko rulaa kar, mujh ko naa khun rulaawo

(to translate this verse, click here)

Can you improve this?

Submit lyrics, translations, corrections, or audio for this Nawha.

All rights reserved by FFFoundation® 2025
Contact Us