Utha koi janaza, fir Fatema ke ghar se
Dunya tadap rahi hay, Faryaad ki asar se
Kya zehr tha ke chira, yun sina e Hassan ko
Kat kat ke gir rahe the, tukde dilo jigar ke
Baade rasul aisa, dushman huwa zamana
Zahra ke ladle ki, mayyat pe teer barse
Kabre Rasool tadpi, tharra gaya Madina
Aansu lahu ke tapke, Zahra ke chashmo tarse
Kya inqelaab aaya, sibte nabi ka laasha
Pehla-u Mustafa mein, do gaz zameen ko tarse
Tabut se lipat kar Shabbir ayse tadpe
Jaise abhi utha hai, Saya Ali ka sar se
Neendh aagayi hai shayad, aaghoshe Fatema mei
Zapki nahi thi aankhe, Shabbar ne raat bharke
Ehle haram na jana, bache ne jaan de di
Ghas kar gaye the Qasim, lipte huwe pidar se
Utha koi janaza, fir Fatema ke ghar se
Dunya tadap rahi hay, Faryaad ki asar se
Another corpse is being lifted in the house of Fatima
The earth is trembling in grief
Kya zehr tha ke chira, yun sina e Hassan ko
Kat kat ke gir rahe the, tukde dilo jigar ke
What sort of poison was given to Imam Hasan
That his liver is being cut into pieces
Baade rasul aisa, dushman huwa zamana
Zahra ke ladle ki, mayyat pe teer barse
After the Prophet the people became so oppressive
They fired arrows at the corpse of his grandson
Kabre Rasool tadpi, tharra gaya Madina
Aansu lahu ke tapke, Zahra ke chashmo tarse
The Prophets grave shook as a silence fell over Medina
Zahra cried tears of blood for her son
Kya inqelaab aaya, sibte nabi ka laasha
Pehla-u Mustafa mein, do gaz zameen ko tarse
(to help translate this verse, click here)
Tabut se lipat kar Shabbir ayse tadpe
Jaise abhi utha hai, Saya Ali ka sar se
Imam Hussain wept so bitterly on the corpse of his brother
As much as he did when his father Ali was murdered
Neendh aagayi hai shayad, aaghoshe Fatema mei
Zapki nahi thi aankhe, Shabbar ne raat bharke
(to help translate this verse, click here)
Ehle haram na jana, bache ne jaan de di
Ghas kar gaye the Qasim, lipte huwe pidar se
(to help translate this verse, click here)
Submit lyrics, translations, corrections, or audio for this Nawha.