Ya Hussain be watan – Haye Hussain be kafan
Lazim na tha ye charkhe sitamgar ke waaste, abe furat sham ke lashkar ke waaste
Yaro khayal e bekasi-e Sheh karo zara, woh dhup do pahar ki woh sehra-e karbala
Who loohh woh khak dashtki woh garmi-e hawa, Is dhoop me khara hai Suleiman e karbala
Zahra pukarti hai ke faryad ya Khuda, mera Hussain dhoop ke andhar hai jal raha
Batlao mai satata hun ya tum satate ho, mein to duaen deta hun tum dil jalate ho
Mujhko nahi rulate Nabi ko rulate ho, Ye teer Fatema ke jigar pe lagate ho
Jab ham na honge to kise tum sataonge, pani kise dikha ke zamin par bahaaoge?
Tumne to bulaya bhi tha na aap mai aaya, jangal me Medine se mukaddar mujhe laya
Khana bhi khilaya muhe pani bhi pilaya, dawat to meri ho chuki aaram bhi paya

Mazlum keh raha tha ke me pyasa pyasa hu, ay shimr tujse mangta pani zarasa hun
Pyasa hun aur Khayr-e Nabi ka nawasa hun, Lillah de Ali aur Payambar ke waaste
Kehta tha shimr pani nadunga nadunga me, na haq zuba dikhata ho qatra nadunga me
Sukhi zuban Husain jo sabko dikhate the, Vaa Jibrail ankhon se dariya bahate the
Sadma hay dil pe pyaas se halat tabah he, Woh bola tum ko pani pilana gunah hai
Hakim ka hukm ye he ke pani bashar piye, ghode piye sawaar piye aur shutar piye
Jo tishnalab jahan mein who sab aan kar piye, haywaan piye, charind piye jaanwar piye
Kafir talak piye to mana tum na kijiyo, Ek Fatima ke laal ko pani na dijiyo
Mushtak Madine ki hukumat ka nahi me, rukhsat karo abhi to nikaljau kahi me
Guzre jo guzre kuch na kisi se kahunga mei, Jangal me misle Khizr akela rahunga mei
Meri tarha se kaun yeh sadma uthayega, Mazlumiyat se yun koi mera na jahega
Maka madina Shaam Mubarak Yazid ko, Mulke arab tamam Mubarak Yazid ko
Yasrab ka intezam Mubarak Yazid ko, Bekas huwa Imam Mubarak Yazid ko
Ya Hussain be watan – Haye Hussain be kafan
Sine pe har taraf se chale barchiyo ke vaar, paykhane zulm hone laga dil pe aar par
Ek neza laga gore peh Sheh lar kharaate the, Vaa haamilane arshe bareen kamp jaate the
Ghore ne jo deka ke sambalte nahi zeen par, bas beth gaya dek kar guthno pe zami par
Nagah pusht zeen se Shahe Karbala ghire, behosh ho ke khaak pe Shere Khuda gire
Shabbar ghire Batool ghiri Mustafa ghire, sadma huwa yeh dil pe ke sab Ambiya ghire
Chothe falak pe hazrat e Isa bhi ghir pare, behosh ho ke Tur pe Musa bhi ghir pare
Charo taraf ko dekh ke lene laga Hussain, Ay zaalimon gharib hay be aashna Hussain

Tarpa idar jo khak me Zahra ka laadla, khanjar bakaf udhar se bara shimr be haya
Ankhe khuli jo gash se to sheh dekte he kya, betha huwa he sina-e zakmi pe behaya
Bola ke ai husain me katunga ab gala, khanjar mere liye he me khanjar ke waste
Katil tu katl karne me kuch shak nahi karna, khanjar tuje khuda ki kasam munh na modna
Rulwaaunga Batul ko in sab ke saamne, Kaatunga halk aap ka Zainab ke saamne
Hai Hai ye kehke teish me aaya wo be haya, Huron ki jaga hai laeen ne ghazab kiya
Hai Hai me kis zubaan se kahu wa musibata, Sar katne ko sina-e Shabbir par chada
Aflaak kampte hay zamin thar tharati hay, Wa Zainaba ki halk se awaaz aati hai
Darya bhi rodiya samandar bhi rodiya, Nazuk gale to dekh ke khanjar bhi rodiya
Hai Hai me kis zuba se kahu wa musibata, Ahmad ke bosgah pe khanjar fira diya
Zarb e awal pe, shahe deen ne kaha – Bismillah
Doosri baar, pukara fida hun ya yadullah
Teesri baar, sheh ne kahan baksh de ummat ke ghuna
Fir na kuch Hazrate Shabbir ki awaaz aayi, Jab gala kat gaya Takbir ki awaaz aayi
Allahu Akber! Ala Qad Qutilal Hussain bi Karbala – Ala Qad Zubihal Hussain bi karbala

Oh Hussain - far away from his home! Oh Hussain left without a shroud
Lazim na tha ye charkhe sitamgar ke waaste, abe furat sham ke lashkar ke waaste
Were the events, that were carried out by the enemy army, on the banks of the Euphrates necessary
Yaro khayal e bekasi-e Sheh karo zara, woh dhup do pahar ki woh sehra-e karbala
Just take a moment to reflect on the loneliness of our Imam, the soldiers, the scorching sun on the plains of Karbala
Who loohh woh khak dashtki woh garmi-e hawa, Is dhoop me khara hai Suleiman e karbala
The burning sand and heat in the air, in this atmosphere stands our Imam in Karbala
Zahra pukarti hai ke faryad ya Khuda, mera Hussain dhoop ke andhar hai jal raha
Zahra is lamenting and complaining to Allah, my son Hussain’s heart is burning inside his chest
Batlao mai satata hun ya tum satate ho, mein to duaen deta hun tum dil jalate ho
Tell me am I tormenting you or are you tormenting me, you are hurting my heart while I am praying for you
Mujhko nahi rulate Nabi ko rulate ho, Ye teer Fatema ke jigar pe lagate ho
What you are doing causes Rasoolallah to cry, these arrows you are shooting are piercing the heart of my mother
Jab ham na honge to kise tum sataonge, pani kise dikha ke zamin par bahaaoge?
Once you kill me who will you torment? In front of whom will you pour water on the burning sands
Tumne to bulaya bhi tha na aap mai aaya, jangal me Medine se mukaddar mujhe laya
Wasn’t it you who invited me to come to you – making me leave the comfort of Medina
Khana bhi khilaya muhe pani bhi pilaya, dawat to meri ho chuki aaram bhi paya
I was expecting you to honor your invite, not to deprive me of food and water
Ya Hussain be watan – Haye Hussain be kafan
Oh Hussain - far away from his home! Oh Hussain left without a shroud
Mazlum keh raha tha ke me pyasa pyasa hu, ay shimr tujse mangta pani zarasa hu
Our Imam kept saying ‘I am thirsty, I am thirsty - O Shimr la give me some water’
Pyasa hun aur Khayr-e Nabi ka nawasa hun, Lillah de Ali aur Payambar ke waaste
I am thirsty and I am the grandson of the Holy Prophet, give me some water for the sake of Allah, the Prophet and Imam Ali
Kehta tha shimr pani nadunga nadunga me, na haq zuba dikhata ho qatra nadunga me
Shimr responded ‘I will never, ever give you water, even if you show me your parched tongue, I won’t give you a drop to drink’
Sukhi zuban Husain jo sabko dikhate the, Vaa Jibrail ankhon se dariya bahate the
Hussain then showed his parched dry tongue to the enemies, from the heavens Jibraeel was crying rivers of tears
Sadma hay dil pe pyaas se halat tabah he, Woh bola tum ko pani pilana gunah hai
Hussain’s situation was getting worse from the thirst – from the enemy’s end Shimr said ‘giving you water is a sin’
Hakim ka hukm ye he ke pani bashar piye, ghode piye sawaar piye aur shutar piye
Yazids order is that everyone can drink water, the horses, the soldiers and their camels should drink
Jo tishnalab jahan mein who sab aan kar piye, haywaan piye, charind piye jaanwar piye
Whoever is thirsty anywhere, they should come forth and quench their thirst, the wild beasts, the birds and the animals should drink too
Kafir talak piye to mana tum na kijiyo, Ek Fatima ke laal ko pani na dijiyo
Even if disbelievers want to drink do not stop them, just ensure the son of Fatima is deprived of water
Mushtak Madine ki hukumat ka nahi me, rukhsat karo abhi to nikaljau kahi me
Imam Hussain kept saying ‘I am not after power or rulership, let me leave, I will go to a faraway land’
Guzre jo guzre kuch na kisi se kahunga mei, Jangal me misle Khizr akela rahunga mei
Let me go and I will live in far away, alone like Prophet Khizr, what happened here I will tell nobody of
Meri tarha se kaun yeh sadma uthayega, Mazlumiyat se yun koi mera na jahega
Who else will carry this burden of oppression like me? Who else will sacrifice their life like me?
Maka madina Shaam Mubarak Yazid ko, Mulke arab tamam Mubarak Yazid ko
Citizens of Maka, Medina, Damuscus – congratulations for what Yazid has done. The entire Arab empire – congratulations to you for what Yazid has done
Yasrab ka intezam Mubarak Yazid ko, Bekas huwa Imam Mubarak Yazid ko
The nobles of Yathrib – congratulations to you for what Yazid has done. The Imam was martyred alone – congratulations to you Yazid
Ya Hussain be watan – Haye Hussain be kafan
Oh Hussain - far away from his home! Oh Hussain left without a shroud
Sine pe har taraf se chale barchiyo ke vaar, paykhane zulm hone laga dil pe aar par
From all directions spears rained on the chest of Imam Hussain as the enemies started celebrating
Ek neza laga gore peh Sheh lar kharaate the, Vaa haamilane arshe bareen kamp jaate the
One spear hit the Imam and he lost balance on his horse, seeing this the foundations of the arsh of Allah started shaking
Ghore ne jo deka ke sambalte nahi zeen par, bas beth gaya dek kar guthno pe zami par
When the horse saw that Imam could no longer balance on the saddle, he sat down on the sand to lessen Imams fall
Nagah pusht zeen se Shahe Karbala ghire, behosh ho ke khaak pe Shere Khuda gire
From the back of the horse Imam fell, unconscious the lion of Allah fell onto the sands of Karbala
Shabbar ghire Batool ghiri Mustafa ghire, sadma huwa yeh dil pe ke sab Ambiya ghire
Hasan, Zahra, The prophet all fell unconscious seeing this – it was so painful to see all the Prophets fell as well
Chothe falak pe hazrat e Isa bhi ghir pare, behosh ho ke Tur pe Musa bhi ghir pare
In the forth heaven Prophet Isa too fell to the ground, Musa too fell unconscious on mount Sinai
Charo taraf ko dekh ke lene laga Hussain, Ay zaalimon gharib hay be aashna Hussain
Imam Hussain looked in every direction and said, Oh enemies – Hussain is now all alone
Ya Hussain be watan – Haye Hussain be kafan
Oh Hussain - far away from his home! Oh Hussain left without a shroud
Tarpa idar jo khak me Zahra ka laadla, khanjar bakaf udhar se bara shimr be haya
As the Imam landed on the hot sands of Karbala, from the enemies Shimr the cursed came forward
Ankhe khuli jo gash se to sheh dekte he kya, betha huwa he sina-e zakmi pe behaya
When the Imam regained consciousness and opened his eyes, what does he see? He see’s a tyrant sitting on his chest
Bola ke ai husain me katunga ab gala, khanjar mere liye he me khanjar ke waste
Shimr told Imam ‘I will behead you!’, I was made for this dagger and this dagger for me
Katil tu katl karne me kuch shak nahi karna, khanjar tuje khuda ki kasam munh na modna
Oh murderer how are you so daring in carrying out this act, oh dagger how are you not flinching doing this act
Rulwaaunga Batul ko in sab ke saamne, Kaatunga halk aap ka Zainab ke saamne
Shimr said ‘I will behead you infront of all these people, I will sever your neck in front of your sister Zainab’
Hai Hai ye kehke teish me aaya wo be haya, Huron ki jaga hai laeen ne ghazab kiya
Aah! Saying this Shimr sprinted towards the Imam and kicked the Imam in his chest (where the angels used to come and rest)
Hai Hai me kis zubaan se kahu wa musibata, Sar katne ko sina-e Shabbir par chada
Woe! How can I explain what tragedy happened next – to behead Hussain, Shimr mounted his chest
Aflaak kampte hay zamin thar tharati hay, Wa Zainaba ki halk se awaaz aati hai
The sky shook and the earth trembled, from the neck of Imam Hussain, the call 'O Zainab' could be heard
Darya bhi rodiya samandar bhi rodiya, Nazuk gale to dekh ke khanjar bhi rodiya
The river started crying, its banks started weeping – seeing the parched neck of the Imam the dagger itself lamented
Hai Hai me kis zuba se kahu wa musibata, Ahmad ke bosgah pe khanjar fira diya
Aah! How can I explain what tragedy happened next – a dagger was plunged into the neck that Muhammad used to kiss
Zarb e awal pe, shahe deen ne kaha – Bismillah
On the first strike of the dagger – Imam Hussain said Bismillah
Doosri baar, pukara fida hun ya yadullah
On the second strike – Imam cried out May I be sacrificed for you O Allah
Teesri baar, sheh ne kahan baksh de ummat ke ghuna
On the third strike , Imam prayed for the forgiveness of the sins of the ummah
Fir na kuch Hazrate Shabbir ki awaaz aayi, Jab gala kat gaya Takbir ki awaaz aayi
Then Imam Hussain went silent – when his head was severed the call of Takbir was heard
Allahu Akber! Ala Qad Qutilal Hussain bi Karbala – Ala Qad Zubihal Hussain bi karbala
Submit lyrics, translations, corrections, or audio for this Nawha.